Kuch sujan logon se ek bat suni thi ki apki nazar jahan tak pahuchti hai aap wahin tak dekh sakte ho. Is bat ko main bhi natmastak hoke swikar karta hun. Maine isko apke upar bhi lagu karne ki koshish ki. Main j.p ka andolan nahi dekha. Gandhi ji ke bare main bas suna hi hai. Kahne ka matlab hai maine aam admi ka koi bhi andolan nahi dekha .dekha to partiyoun ka dekha hai .waise sune bahut hai. Ab baba ji ka pahla dekh raha hun. Babji muh ki taqat se sarkar ko sirshashan bhi kara rahe the kuch din pahle. Acha laga aam admi hun na.
Ek aam admi ke dil ki bhadash nikli chalo kuch to hua. Bipaksh bhi kush tha chalo sarkar ki kirkiri ho gayi. Baba ne virodh ka danda pakda kuch dinsarkar natmastak rahi. Jo kam vipaksh sarkar se 4 sal se nahi kara paayi wo aana ji ne kuch din main kar diya.
Mujhe itne tak to samajh aa gaya par iske bad meri nazar nahi pahuch paa rahi hai.kya janta ka partiyoun se vishwash uth gaya hai. Partiyoun se vishwash uthne ka mujhe ek matlab ye samajh main aata hai loktantra se vishwash uthna.kyoun janta ko har bat k liye aandolan karna pad raha hai. Kya ham aarajakta ki aur aur badh rahe hain .
Yahi kuch prashn man main uth rahe the to phir wahi bat yad aagayi ki kabhi kabhi jo dikhta hai wo sach nahi hota aur jo nahi dikh raha hai wo sach ho sakta hai…………………………..dhanyawad
ashish

Categories: , ,

Leave a Reply