" The ink of the scholar is more sacred than the blood of the martyr"

jaipur literature festival aj kal badi charcha main hai .ye alag bat hai ki ache karano se nahi bure karano se . Ap bilkul sahi samjhe. bat hai satanic versus ke mashur lekhak ke bharat ane par huye vivad ki . Ye sara vivad suru hua darul-ul-ulum ke mukhiya Maulana abdul kashid numani ke ek tweet se jisme unhone Rushdi ke bharat ane ka virodh kiya tha . Ye wahi Darul-ul-Ulum hai jishne Gulam md bashtanvi ko Narendra Modi ki tarif karne ke akshamya apradh main mukhiya pad se nikal diya tha . . Ab jab ki bat nikal hi chuki hai to dur talk bhi jayegi hi. Ab Rushdi sahab ne bhi mana kar hi diya hai ki ve suraksha karano se bharat nahin ayenge . Ashok Gahlot to suraksha dene main asamarthata to pahle hi jata chuke hain. Yahan ye yaksh prasn khada ho gaya hai ki kya bharat apne ek nagrik ko apne hi desh main suraksha nahin de sakta . Chaliye kuch pal ke liye man bhi liya jay yah sawa soo koti ka desh suraksha ki drishti se majbut nahi hai . Par us loktantra ka kya jis par bharat hami bharta hai . Loktantra ka mukhya niya "freedom of speech" ka khule am cheer haran ho raha hai . Lekhan hamesha se freedom of speech ka bada madhyam raha hai aur uska kabhi purva kal main virodh bhi nahi hua hai phir ab hi kyön. Aisa nahi hai ki Rushdi shahab pahli bar bharat aa rahe hain wo bharat ate rahte hain aur isse pahle wo 2007 main bhi is samaroh main bhag le chuke hain.phir ab hi vivad kyon? Darsal is bat ka seedhasa jawab hai ki is samay up main election hone wale hain. Aur ye pura preplann game kishi ek vishesh rajnitik dal ko labh pahuchane ke liye play out kiya gaya . Jaipur ke congress M.P ne to seedhi dhamki de dali thi ki wo kuch bhi ho jay wo Rushdi ko jaipur ane nahin denge. Rajashtan congress ruled state hai aur center main bhi congress ki government hai to kya ye ek vyakti ko suraksha nahi de sakte the. Par vote bank ki rajniti main jo is govt ne bharatiy loktantra ki jo jag hashayi ki hai wo vakayi sharmnak hai. EXPECT ASHOK GAHLOT SINGING केसरिया सलमान, ना पधारो म्हारे देश! ना जीवो हो, ना जीवण दो, कैसो जी को क्लेश! रे ना पधारो म्हारे देश!

Categories:

Leave a Reply